Friday, January 12, 2007

Jinhe naaz hai Hind par woh kahan hai?

jinhe naaaz hain hind par.... 

yeh kooche yeh neelam ghar dilkashi ke,  yeh lut te hue karwan zindagi ke, 

kahan hain kahan hai muhafiz khudi ke,  jinhe naaz hai hind par woh kahan hain

 kahan hai kahan hai kahan hai yeh kurpech galiyan yeh badnam baazar yeh gumnaam rahi yeh sikkon ki jhankar yeh ismat ke sauden yeh saudaun pe takrar jinhe naaz hai hind par woh kahan hain kahan hai kahan hai kahan hai yeh sadiyon si bekhwaab sehmi si galiyan yeh masli huin ad khili zald galiyan yeh bikti hui khokli rang raliyan jinhe naaz hai hind par woh kahan hain kahan hai kahan hai kahan hai woh ujle gareechon maian payal ki chan chan thaki haari saanson pe table ki dhan dhan woh ujle dareechon maian payal ki chan chan thaki haari saanson pe table ki dhan dhan yeh behrooh kamron me khansi ki than than jinhe naaz hai hind par woh kahan hain kahan hai kahan hai kahan hai

No comments: